|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
Hawa-e-Hijer mein , jo kuch tha , ab k khaak hua
K perahan tu gia tha , badan bhi chaak hua
Ab us say tark-e-taâalluq karon tu mar jaon
Badan say rooh ka iss darja ishtraak hua
Yahi k sab ki kamanein hamein pay tooti hein !
Chalo hisab-e-saf-e-dostaan tu paak hua
Pooch apni zaraf say phir lautnay ka amal !
K mein pahardh tha , simta tu mush-e-khaak hua
Wo be sabab younhi rotha hay lamha bhar k lye
Yeh sanihaa na sahi phir bhi karbnaak hua
Usi kay qurb nein taqseem kar dia aakhir
Wo jiss ka HIjer mujhay wajh-e-inhimaak hua
Shadeed waar na dushman dalair tha MOHSIN
Mein apni bay khabri say magar halak hua
Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
|