 |
|
|
Posts: 19,769
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender:
|
|
Uljhaw ka maza bhi teri bat hi main tha
tera jawab tere sawalat hi main tha
saya kisi yaqeen ka bhi jis par na par saka
wo ghar bhi shahar-e-dil ke muzafat hi main tha
ilzam kya hai ye bhi na jana tamam umer
mulzim tamam umer hawalat hi main tha
ab to faqat badan ki murawat hai darmiyan
tha rabt jan-o-dil ka to shoroat hi main tha
mojh ko to qatl kar ke manata raha hai jashn
wo zilihaz shakhs meri zat hi main tha
|