Quote:
Originally Posted by Shaam
[b][font="Georgia"][size="3"]very nice thread indeed
thumb up for u Salman
jaha tak topic ka talluq hai
yah is me koi do raaye nahi ek sahi pakistani ki ke Pakistan is ISLAMIC STATE THA aur HAI aur inshaAllah RAHEY GA
thora sa context dekhtey hain ke yah sawal utha hi kio.....
Islam dunya me ek concept leike aya ke hum sei her ek ke passs bht vaast magr boundries hain
hum sab accountable hain within those boundries sab sei pahlei us ke jis ne huimei takhleeq kia.
farq hum me aur west me yah hai ke wo boundries ke qayil hi nahi jab individual satah per baat aati hai
aur jab national interest ki baat aati hai tou bhi unke rules her muqaam per alag alag nazar aatey hain
yah boundries individually bhi aur min haisul qom un sei bardasht nahi horahi hain.
ab kia hoga ger pakistan ko ek islamic state ke taur per maan kar us ke law ko islamic shakal di jaaye jo ke abhi nahi hain.
sab sei pahlei yah zehen me rakhein koi mulk apne qawaneen sei pahchana jata hai ke wo kis category me fall karta hai
Pakistan ek muslim mulk hai jaha ka qanoon islamic nahi.
islamic qanoon nafiz karne ka matlab hai ke un tamam values ki nafi ki jaaye jo he madar pidar azaadi ki taraf lei jaarahey hain
jahan per phir ek qanoon hoga chahey wo prime minister ho ya koi gareeb patang uraaney wala bacha
jaha per saddar apne order sei kisi ki saza me takhfeef nahi karsakey ga
per yah cheez hazam nahi hogi
kio ke is sei soceity buildup hogi aur yahi pakistan ek threat banjaye ga west ke lia
|
Thankyou Bro For Replying.. Ap Hi Ki Baat Ko Mazeed Agay Barhata Hoon, Jahan Tak Main Mashriq Aur Maghrib Ko Compare Karta Hoon Kay Allah Ka Nafarman Chahay "West" Mein Hay Ya "East" Mein, Wo Isi Koshish Main Laga Howa Hay K "Relegion" Zindagi Ki Kahani Ka Aik Chapter Hay, Poori Kitab Nahi.. Jis Say Jitni Force Lag Rahi Hay Lagaa Raha Hay Kay "Relegion" Ko Samait K Worship Places Tak Mehdood Kardiya Jaye For Example Namaz Parhi To Allah Allah Hogai Phir Masjid Say Bahir Aye To Wohi Jhoot Faraib, Dhoka Dahi.. Aur Insan Ki Ye Tabiyat Chrisianity Aur Jews Main Bhi Daikhnay Ko Milti Hay Farq Itna Hay K Wo Log Officialy Ab Ye Mantay Hain K Relegion Ka Law Implementation Say Koi Taluq Nahi, Law Enforcement Ethics Ki Bunyad Par Banaye Jatay Hain Aur Insan Ki Moral Philosphy as we all knows 1971 Main Moral Values Aur Thi Aur 2012 Main Aur Hogai Hain Similarly 2020 Main Aur Hongi.. Yani Law Bhi Change Hotay Jayengay.. Example Daita Hoon K Baap Apnay Baitay Ko Daant Ya Maar Liya Karta Tha Jo Kay Moral Values Change Honay K Baad Baita Apnay Baap K Khilaf Case File Kar Sakta Hay Yar Phir Pakistani Law Main Adultry Ki Koi Saza Nahi Agar Couple Razamandi Say Ye Kaam Kar Raha Ho, Ye Bhi Change of Moral Values Hay..
Hum Muslim Par Ye Maqoola Bohat Fit Baith'ta Hay..
ایمان پکارے ہے کھینچے ہے مجھے کفر
Hum Log West Ko Bhi Follow Karna Chahtay Hain Kion Kay Aik Trend Ban Chuka Hay, Like Pant&Shirt Ko Humi Main Say Aik Tabqa Kehta Hay K Koi Problem Nahi Pehni Hay To Kya Howa.. Aur Phir Humi Main Aik Aisa Tabqa Bhi Hota Hay Jo Kehta Hay Kay Kafiro'n Ki Taqleed Aur Un K Mushabay Harkaat O Saknaat Humain Qyamat Walay Din Unhi K Sath Khara Karaingi, Hadith K Mutabik*! Hum Log Confusion Ka Shikar Hotay Jarahay Hain..
Aur Akhir Main Iqbal Ka Aik Shair Darj Karonga
جمہوریت ایک طرز حکومت ہے جس میں
بندو کو گنا کرتے ہیں تولا نہیں کرتے
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! 