Nafrat bhi dilnasheen hai jo Ulfat kamaal hai
Us shakhs ki Saraab! Rafaaqat kamaal hai
Wo keh rahay hain ham say "Muhabbat hai aap say"
Ham sochtay han unki Murawwat kamaal hai
Zillat uthaaye, zulm sahay, phir bhi khush rahay
Har cheez bhool janay ki Aadat kamaal hai
Maqtool se gila hai ke wo qatl kiu hua?
Qatil! ye tera Tarz-e-Shikayat kamaal hai
Hain mustaqil nashay main, hamain maye se kia gharaz
Aye Dost! tere dard ki Lazzat kamaal hai
Daikha kuch is nazar se ke pathara gaye qadam
Ye saath chhornay ki Ijazat kamaal hai
Har roz apni zaat ke Tukray kiye Saraab!
Ham ne jo un se ki hai Muhabbat, kamaal hai
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے
ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨
¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥ ´¨ `♥•.
M A H ¡
..•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*.....`·.¸.·´* (¨`·.·´¨¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥•.¸¸.•♥´¨`♥• .¸¸.•♥´¨`♥•