Quote:
Originally Posted by Shaam
Mujhme kitney raaz hai, batlaaun kya ?
Band ek muddat se hun, khul jaun kya ?
Aajizi, minnat, khushaamad, iltija
Aur mai kya kya karu, mar jaun kya ?
Kal yahan mai tha jahan tum aaj ho
Mai tumhari hi tarah itraaun kya ?
Tere jalsey mai tera parcham liye
Sekdon laashein bhi hai, ginwaaun kya ?
Ek patthar hai wo meri raah ka
Gar na tthukraaun to thokar khaaun kya ?
Phir jagaaya tuney soye sher ko
Phir wohi lehjaa daraazi, aaoon kya ?
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
wah superb shaam
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab tor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar kay alwidaa
Mauqa auor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rab pe chor detay hein
kia hi baat hai, superb
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
bohat khoobsurat
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
merei lehjey ki karwahat bhi besabab nahi hai
meri ankhon ne merei dil ko dasa bohat hai.
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
kabhii gul khilenge to puchna
beautiful
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
bohat khoob
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
Aur to koi na tha jo jurm e baghawat karta
Ik hum he thy jo ye rasm nibhany nikaly
wah
|
Quote:
Originally Posted by Miss Habib
mere pass jitna nisaab hai teri chahaton ka hisab hai
yah tumahrei gham ki kitaab hai, isey dhiyan sei tou parha karo
جانے وہ دن تھے کون سے اور کون سا تھا وقت!
گڈ مڈ سے اب تو ہونے لگے ماہ و سال بھی
zabardst
|
Thanks for yor valuable comments
Chalo parhney walei bhi hain yaha AUR : )
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)