|
|
Posts: 27,062
Country:
Join Date: Dec 2010
Location: Lahore
Gender:
|
|
Apni duniya mein mast rehta tha main
Maut ki fikar na karta tha main
Gunnah ko gunnah na smjhta tha main
Lazzaton k peeche bhagta tha main
Dil chahta tha k parhon namaz main
Par Masjid tak jism na le jata tha main
Duniya ki ronaq mein magan tha main
Waqat dosti mein barbad karta tha main
Phir aik din achanak andheray chaya
Ankh khuli to khud ko qabar mein paya
Phir Allah ne poocha k kia le kar aya
Ghar jana chaha lekin ja na paya
Qabar ki tanhai ne bohat darya
Awaz di apno ko to koi na aya
Waqat hai sambhal ja, Jo gaya wo na aya
Namaz bohat qeemti hai Allah ne samjhaya.
|