|
|
Posts: 66
Country:
Join Date: Sep 2011
Gender:
|
|
Maaf Karna Yaarun Kuch lafon ki akasi shayad aap ko buri lage... Thanx
Libas taan say utar dena kisi ko bahon kay haar dena
Phir us kay jazbon ko maar dena
Agar Mohabbat yahi hai Jana
Tu maaf karna mujhe nahin hai
Gunah karne ka soch lena Haseen Parian daboch lena
Phir uski ankhein hi noch
Agar Mohabbat yahi hai Jana
Tu maaf karna mujhe nahin hai
Kisi ko lafzon ka jaal dena kisi ko jazbon ki dhal dena
Phir uski izat uchal dena
Agar Mohabbat yahi hai Jana
Tu maaf karna mujhe nahin hai
Andair nagri me chalte jana haseen kaliyan masalte jana
Or apni fitrat pe muskurana
Agar Mohabbat yahi hai Jana
Tu maaf karna mujhe nahin hai
Wo Mile Bhi Tu Fakat Khuda Kay Ghar Main
Ab Tum Hi Batao Ibaadat Karte Ya Mohabbat Karte.

|