Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Aina ban k jo toota wo dil tha mera
chotha tere hath se jo wo hath tha mera
Qismat ko ab kya doun ilzam mein ?
Jo paya mein ne shayid wohi naseeb tha mera
Har khushi thi meri sirf tere hi dum se
Mur k dekh baad tere kya haal howa mera
Na pa saka tuje phir bi har sans pe barhi khwahish teri
Khuda k ghar bi jo khali raha wo daman tha mera
Dunia wohi ha dunia wale bi wohi hain
Koyi kya jane kya kuch khoya tha mera
Koi shareek-e-gham na ho ga yehan tera
Jis ka sab kuch louta wo ghar tha mera
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|