MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - کرم ایجنسی میں امریکی میزائل حملہ، اٹھارہ
View Single Post
(#9)
Old
RiyazA RiyazA is offline
 


Posts: 74
My Photos: ()
Country:
Join Date: Jun 2011
Gender: Male
Default Re: کرم ایجنسی میں امریکی میزائل حملہ، اٹھار&# - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   01-23-2012, 12:30 AM

Sooli sahab, aap zaroor tareekh padhe honge and jaante honge ke Russia Afghanistan se 1989 mein nikal gayaa tha aur Taliban ka hokumat 1996 mein shoro hua jis ka matlab yeh hua ke yeh camp 6 saalon ke lye bina kisi hadaf se fuaal tha, magar haqeeqat to yeh hai ke yeh camp aur is jaise bahut se aur campon ko bin Laden ne apne maqsad ke lye fuaal rakha tha aur us ka maqsad saare dunya mein dehshat pehlaana tha. Isi lye us ne bina Taliban ko bataaye, 9-11 ka plan Afghanistan mein banaya.

Waise Taliban ko to mein jaanta hoon magar Company kaun hai. Agar aap ka ishaara al-Qaida ki taraf hai to al-Qaida Afghanistan mein apne mulk ke lye nahin ladh rahe hain kyon ke Afghanistan un ki mulk hee nahin. Woh sirf Taliban ki saath dena chaahte hain kyon ke un ki apne hee mulkon mein un ke lye jaga hee nahin. Aap dekhte hain ke Misr mein inqalaab aaya aur al-Zawahiri ko kisi ne wapas aane ki daawat nahin bheja. Libya mein bhee Qaddafi ke marne ki baad, kisi ne al-Libi ko wapas aane ke lye nahin kaha. Is ka matlab yeh hua ke al-Qaida ke lye dunya ke koi kone mein jaga nahin hai. Isi lye al-Qaida wale hamaare qabaayi elaaqon mein reh kar hamaare Pashtun bhaiyon ki mehmaanwazi ke poora faida utha rahe hai aur unhee ko hamaare fauj ki khilaaf lada rahe hain.

Drones ki baare mein kuch na kaha jaaye to behtar hai kyon ke hum jaante hain ke drones ka nishaana kaun hai. Waise khudkush hamla awaron ka nishaana ko bhee hum jaante hain magar masla yeh hai ke khudkush hamlon mein aksar nishaana jo Pakistani fauj ya police hai chooth jaata hai aur begunaah awaam maare jaate hain aur jab awaam maare jaate hain to koi zimmedaari qobool nahin karta. Magar, agar koi khudkush hamla mein 20 log maare jaaye aur us mein ek bhee fauji ya policewala ho to Ihsanullah Ihsan bahut fakhar ki saath zimmerdaari qobool karta hai. Aise karwayion se al-Qaida ko fayeda bhee ho jaata hai kyon ke jab tak dehshat jaari rahein to al-Qaida ka naam logon ki zabaanon par aur us se darr logon ki dilon mein hoga aur khud al-Qaida ka koi rokn mar bhee nahin jaayega. Marenge to sirf Pakistani. Mera matlab yeh hai ke agar yeh log hamaare beech nahin honge to hum ko koi drones ki zaroorat hee nahin hogi.