 |
|
|
Posts: 19,769
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2008
Location: lahore
Gender:
|
|
Dil mein ab yun tere bhuule huye Gam aate hain
Jaise bichhare huye kaabe mein sanam aate hain
Ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan
Merii manzil kii taraf tere qadam aate hain
Raqs-e-may tez karo saaz kii lay tez karo
Suu-e-maiKhaanaa safiiraan-e-haram aate hain
Kuchh hamin ko nahin ehasaan uThaane kaa dimaag
Vo to jab aate hain maail-ba-karam aate hain
Aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho
Dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam aate hain
|