Mizaj hum se zyada juda na tha us ka
Jab apne tor yehi thay to kia gila us ka
Woh apne zoam main tha be-khabar raha mujh se
Usay gumaan bhi nahi main nahi raha us ka
Yeh ehal-e-dard bhi kis ki duhaai dete hain
Woh chup bhi ho to zamana hai humnawa us ka
Hum hi ne tark-e-talluq main pehel ki ke 'Faraz'
Woh chahta tha magar hosla na tha us ka....
Life is so sweet but still sad.