Her tamaashayi faqat sahil se manzer dekhta
Koun deriya ko ulat'ta,koun gohar dekhta
Aankh mein aanso juray the per tujh ko sadaa na di
Is tawaqqu per k shayad tu millatfacebook dekhta
Meri kismat ki lakeerain mere hathon mein na theen
Tere mathay per koi mera muqadder dekhta
Zindagi phaili hoi thi shaam e hijraan ki tarah
Kis ko itna hosla tha k ji ker dekhta
Doobnay wala tha aur sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki muhlat thi main kis ko ankh bher ker dekhta
Tu bhi dil ko ik lahoo ki boond samjh Faraz
Ankh ager hoti tou qatray mein samander dekhta