Husn ghamzay ki kashakash se chhuta mere bad,
Baare, aaraam se hain ehl e jafa mere bad
Munsib e sheeftegi ke koi qaabil na raha,
Hoi ma'azouli e andaaz o ada mere bad
Shamma jalti hai to us mein se dhuwan uthta hai,
Shola e ishq siyah posh huwa mere bad
Khoo'n hai dil, khaak mei, ahwal e butaa'n par, yane,
Un ke nakhun hoye muhtaaj e hina mere bad
Hai junoo'n ehl e junoo'n ke liye aaghosh e wida'a,
Chaak hota hai girebaa'n se juda mere bad
Gham se marta hun ke itna nahi dunya mei koi,
Ke kare ta'aziyat mehr o wafa mere bad
Aaye hai be kasi e ishq pe rona Ghalib,
Kis ke ghar jayega selaab e bala mere bad