agar insaan ka Allah se rishta mazboot ho to usse kisi insaan ki zroorat nahi parti, apne har nuqsan per hum ye soch lai k ye dar-haqeeqat nuqsan nahi hai, shaid ye hamare liye behtar nahi tha isliye Allah ne hum se cheen liaa, or jahan tk baat hai apno ki berukhi ki to kabhi kabhi apne chahte hai k hum khud se zindagi ki mushkilaat ka samna karna, bardsasht karna or unhein solve karna seekhe, kyon jitni achi tarah hum khud ko khud samjha sakte hai utni achi tarah koi nahi samjha skta, or kabhi kabhi to aisa hota hai k koi apna tasali k do lafz bole bhi to humein acha nahi lagta, hum sochte hai k hum pe guzri hai hum hi jante hai, doosre to sirf tasali de dete hai bus, isliye kia ye zyda behtar nahi k hum zindagi mein har nuqsan per Allah hi ko yad kare wohi humein har ghum or mushkil se nijat deta hai