-:||:-
-:||:-
Meri ye kaawish khaas un logon k liye hai jo
SHAAIRI ka shoq rakhtay hein
Main apni is kaawish ko aik
ILMI or
ADABI khail ki soorat manzar-e-aam per is ummeed k saath lay ker aaya hoon k is
ILMI or
ADABI khail say aap sab hi logon ki maaloomaat mein izaafa ho sakay
Is
ILMI or
ADABI khail mein sirf
SHAAIR ya
SHAAIRI k hawaalay say hi sawaalaat kiye jaayein gay or jo koi bhi sawaal ka sahi jawaab day ga wo hi agla sawaal kernay ka haq-daar hoga
Sawalaat mein aap kuch bhi pooch saktay hein mager is baat ka khaas khayaal rakhtay huway k jo sawaal aap poochnay jaa rahay hein wo sawaal kisi
SHAAIR ya
SHAAIRI k hawaalay say hi ho
Maslan
1: Falaan shaair ka naam kya hai ?
2: Falaan shaair ka takhallus kya hai ?
3: Falaan shaair kahaan payda huway ?
4: Falaan shaair kahaan k rehnay waalay hein ?
5: Falaan shaair ki kitni kitaabein manzar-e-aam per aaeen ?
6: Falaan shaair aik shaair honay k saath saath or kya kya thay ?
7: Falaan Nazm ya Ghazal ya phir Shair kis shaair k naam say mansoob hai ?
Is hi terhan k kai sawalaat jo aap k zehan mein aayein wo aap pooch saktay hein
Shart sirf itni hai k sawaal wo hi karay ga jo pehlay kiye gaye sawaal ka sahi jawaab day ga
Is
ILMI or
ADABI khail mein sawalaat ka silsila main is ummeed k saath shuroo kerta hoon k meri ye chouti si kaawish aap logon k
ILM mein mazeed izaafay ka sabab banay gi
INSHA ALLAH !
SAWAAL: Aap logon ko pakistan k us azeem shaair ka naam bataana hai jo k aik zaberdast SHAAIR honay k saath saath HAAFIZ-E-QUR'AAN bhi thay ?