MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Cheap: India’s $35 Laptop
View Single Post
(#7)
Old
SALMAN SALMAN is offline
Banned
 


Posts: 630
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2010
Location: Lucknow ( I N D I A )
Gender: Male
Default Re: Cheap: India’s $35 Laptop - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   09-02-2011, 07:23 PM

Quote:
Originally Posted by CaReLeSs View Post
SaLman aap kabhi Pakistan Visit karain aapko us say b acha daikhnay ko milay ga
Waisay is main functions kam hoongay ya quality vise acha nae ho gaya...
Aap kisse baat kar rahe hain.. zara soch samajh kar Challenge kiya karein..
Main aap logon ki tarah hawa mein bakwas nahi karta .. Mind it & Beware in future..

aur Himmat rakhain Face karne ke liye .. ab ye na kahen ki maine bahot khul kar kah diya .. coz aap logon ka haazma sach ke saamne zara kamzor hi dekha hai.. maine..

main jab Karachi gaya tha to aap ke wahan ki Police ne mere Relatives jo North Nazimabad mein qayam karte hain.. unse Rishwat li.. phir mere Karachi ghoomne ka silsila shuru hua .. ( aap ko saboot ke taur par yeh batata chaloon ki North Nazimabaad ki Crossing par mujhe HONDA motorcycle dekhne ko mili jo ki Red color ki thee.. halanki dhoop ki wajah se uska color fade hogaya tha.. ( ab bhi woh hai ya nahi .. main nahi janta )

phir maine Defence colony mein Beer-bar dekha .. pub bhi mila .. Clifton beach dekha .. Hawks Bay bhi gaya tha .. ( wahan Raunaq raat mein late night hoti hai ) .. aap ke wahan maine Memons ka area bhi dekha .. ek Hindu Mandir mein bhi gaya .. yeh woh samaandar ke kinaare ka ilaaqa hai .. jahan Smuggling ka saman sale hota hai..

3 Talwaron wali park bhi dekhi.. Dawood Ibraahim ka ghar bhi dekha ..

Old Karachi bhi jaane ka mauqa mila.. wahan aazaadi ke pahle ki kuchh Buildings dekheen.. jin par Hindu naam thay..

aur bhi jagah gaya hoon.. Mardan, Lahore.. Nankana Saaheb..

jab Lahore se sindh aa raha tha to Ontni ke doodh ki chaye bhi pee thee.. ( Camel Milk )
aap ke wahan Train ka meyaar ( standard bahot low hai ) ek train jo China ne Gift ki hai .. woh bahot kuch humaare yahan ki metro ke style ki hai..
jo ki Lahore to Karachi chalti hai.. "Karakuram" naam hai uska..

Main choonki Computer se related hoon .. isliye main Karachi ke bahot famous computer market "UNI PLAZA" bhi gaya tha .. wahan Al-Madina naam ki shop par gaya tha.. jiske owner mere hum naam hain..

mera Stay Gulshan Iqbal colony mein tha ( jo ki Urdu University ke saamne waaqaye hai )

shayed itna hawala kaafi hai .. ki main Pakistan gaya hoon

================================
ab aap ki baari hai ki aap kab aur kahan aaye thay in India???