|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
Muattar muattar jo baad-e-saba hai
nabi ke paseene ka yeh mojiza hai
jahan azmatein dehar ki sar jhukayein
khuda ki kasam wo dare mustafa hai
kati ungliyan husn-e-yusuf ki khaatir
muhammad ki khaatir qamar kat gaya hai
hua hai karam jis safeene pe unka
use badhke toofaan ne sajda kiya hai
wo noor-e-mujassam rasool-e-mukarram
ki qurbaan jis pe khuda bhi hua hai
ye kisne kaha zulmaton mein ghira hoon
gulam-e-nabi hoon ziya hi ziya hai
matin uswa-e-mustafa ki badaulat
badi shaan se zindagi jee raha hai
|