|
|
Posts: 32,565
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender:
|
|

Yeh Chuban Akelay Pan Ki, yeh laggan udas shab se,
Main Hawa se lar raha hun tujhay kya bataon kab se,
Yeh shehr ki sazishein thien, K Yeh inteqaam-e-shab tha?
Mujhe Zindagi Ka Suraj na bacha Saka ghazab Se,
tere naam se shafa ho kar koi zakham woh ataa kar,
Mere naama-e-bar! milay toh, usay kehna yeh adab se,
Woh Jawan rutoon ki shaamein, kahan kho gayi hain Mohsin,
Main toh bujh K reh gaya hun, tu bichar gaya hai jab se.....!!!

|