|
|
Posts: 2,304
Country:
Join Date: Jun 2011
Gender:
|
|
Apnay Uljhay Howay Din Raat Bhi Suljha Na Sakay
Itnay Be-Faiz Hain Khud Apnay Hi Kaam Aa Na Sakay
Saaya -e- Zeest Ko Dhaltay Howay Daikha Lakin
Taptay Sehra Pay Koii Naqsh -e- Khushi Paa Na Sakay
DIL Bhi Machla Tha Nigahain Bhi Palat Jati Thi
Un Ki Dehleez Pay Lakin Ye Qadam Jaa Na Sakay
DIL Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hay
Un Ko Pa Kar Bhi Mager Ham Unhain Apna Na Sakay
Daastan Kehnay Ki Kuch Waqt Nay Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakay DIL Unhain Dekha Na Sakay
Khilti Kaliyon Kay Tabasum Ki Haqiqat Kia Hay
Bikhray Pholon Say Jo Pucha Tu Wo Samjha Na Sakay
|