yah phool phool sei loge kuch
hain dilo labrez chahatein
mere gird merei chahaar soo
kuch aziyatein kuch rehmatein
wo jo haath mei nei thaam ke
seeeki hai shab o roze ki zindagi
hain nahi wo pahlei qawi magr
hai unke dam sei dam e bandagi
kuch aur loge bhi milei mujhey
kuch sath chalei kuch palat gaye
ahsaan hai unka ke unke kaaran
dukh kai they jo kut gaye
ek ahsaas aur merei sath hai
wo dil nasheen wo mah roo
hai jis ke lia dharkanein meri
meri Muhabbat meri aarzoo
sab sath hain per ek ahsaas bhi
mei sab hoke bhi kuch nahi\
jo na ho merei Rab ki razaa
tou payaa mei jaisey kuch nahi
youn guzar rahe hain roz o shab
dhoop hai tou kahein chaaon zindagi
tamam hogi ek din shafaq bikhraaye
meri yeh Shaam Shaam Zindagi
(Shaam)
Socha kudh ki hi ek nazm sei start karleta hooo
umeed hai pasnd nahi aye gi : )
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)