JAZBON KI TIJAARAT
woh jazbon ki tijaarat thi
ye dil kuch aur samajha tha
use hansne ki aadat thi
ye dil kuch aur samjha tha
mujhe us ne kaha aawo
nae dunya basatay hain
use soojhi shararat thi
ye dil kuch aur samjha tha
hamesha uski ankhoun me
dhanak se rang hote the
ye uski aam si haalat thi
ye dil kuch aur samjha tha
wo meeray paas betha dair
tak ghazlain meri sunta tha

use khud se muhabbat thi
ye dil kuch aur samjha tha