MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata.
View Single Post
(#1)
Old
Shaam Shaam is offline
Shaam
 


Posts: 5,120
My Photos: ()
Country:
Join Date: Dec 2008
Location: some where near somebody
Gender: Male
Loading Nuqta e nazar... Mei saalgirah kio nahi manata. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-25-2011, 10:19 AM

Assalam Alaikum

Bohat se logo ka mujh pe aitraaz hai ke mei na saalgirah ki wish karta hoo na manata hoo na hi shikrat karta hoo. even tou me meri behen ki bachi ki saalgirah me nahi gaya aur phir us shaks ki saalgirah ki wish nahi ki jo mujhey apni jaan sei ziada aziz hai. logo ke baaz sawalo ke jawab hotey huawy bhi khamoshi ko behter jana kei behes maqsood nahi thi. Phir aaaj socha ke apna nuqta e nazar wazei kardoo.


SAALGIRAH ko me thora sa alag likhna chahooga aur aqalmand ke lia ishara kaafi hoga ... SAAL GIRAH.

Ek sawal ka jawab me chahooga ke ke ger aap ke pass ek lakh rupei hon aur her 5 hazaar ki kami per aap khush honge ya aap ko fikr hogi ke yah tou khatam honei walei hain.

meri umr bhi Allah ki ata ki hooi aisy dolat hai... poori di barh nahi rahi .. kam horahi hai.. waqt kam bach raha hai tou kam honei ki khushi manana ahmaqana fayel hai ya nahi ?

han zaroor manata ger pata ho jo kharch kia jo guzar gaya wo bahter tha ya us me kuch acha hogaya ya kiya.... aur jab ke aisa hai nahi tou phir kis baaat ki khushi.

aaney walei saal ki khushi bhi manai jasakta hai per ger surity deido ke us me kuch bura nahi hoga ya wo akhri saal nahi hoga...... her baat sei be khabar andhey bahro ki tarha khushyaa manana ajeeb si baat nahi.

phir akhri baat.. saalgirah manana hamara sheva nahi.. hum bahasiyat Qome ek identity rakhtey hain aur hamarei lia follow karna kisi aisey ko pahlei hi mardood hain ghalt hai mana hai.....


baaqi aap logo ke pass koi reason hai tou batadein. : )

 




ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے


And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links