Is Ghar Main Abbu Kabhi Mujhay Bulaya Kartay Thay ..
Bohat Pyaar Say Apnay Pass Mujhay Bithaya Kartay Thay ..
Dostana Andaaz Main Mere Kandhay Par Hath Rakh Daitay ..
Bachpan Main Lagay Zakhm Jab Mujhay Rulaya Kartay Thay ..
Un Ki Daant Dapat Main Chupa Hay Mera Roshan Mustakbil ..
Dant'tnay Kay Baad Shafqat Say Mujhay Samjhaya Kartay Thay ..
Main Un Ki Baho'n Kay Hisaar Main Khud Ko Mehfooz Pata Tha ..
Khamosh Raat Kay Adhairay Jab Mujhay Daraya Kartay Thay ..
Wo Apnaiyat Ki Hiddat Mehsoos Karta Hoon Main Aaj Bhi ..
Abbu Apnay Seenay Say Jab Mujhay Lagaya Kartay Thay ..
Raat Ko Sotay Howay Kabhi Main Bayarami Mehsoos Karta To ..
Mere Aram Ki Khatir Apnay Bazo Ka Takiya Banaya Kartay Thay ..
Kabhi Kisi Pal You'n Hi Jab Main Udaas Howa Karta To ..
Un Lamho'n Ko Nit Naye Chutkalo'n Say Sajaya Kartay Thay ..
Bass Isi Dar Say Kay Bacha Kahi'n Larkhara Na Jaye ..
Meri Raah Ki Har Rukawat Ko Wo Hataya Kartay Thay ..
Kabhi Agar Main Ulajh Jata Buray Kamo'n Main To Wo ..
Apni Tarbiyat Say Mere Aibo'n Ko Mitaya Kartay Thay ..
Ye To Kuch Yadain Hain Jo Paywasta Hain Meri Rooh Main ..
Dhundla Chukay Hain Wo Pal Jo Mera Dil Behlaya Kartay Thay ..
Khushnaseeb Hain Wo Log Jin Kay Waldain Salamat Hain Un Par ..
Kabhi Hum Bhi Un Ki Khidmat Say Jannat Kamaya Kartay Thay ..
Chal Fiqr Noo Goli Maar Yaar Hain Din Jindri Day Chaar! 