MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - URaan
Thread: URaan
View Single Post
(#1)
Old
life life is offline
 


Posts: 32,565
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Female
Default URaan - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   06-13-2011, 03:57 AM

Wo shayed mohabbat aur tajasus meiN imtiaaz nahi ker paya tha aur is laailmi meiN us ne pyaar ke kitne he hazaane luta diye they.wo apni justajoo ko anjaane meiN chahat ka naam de betha tha .MaiN us ki seemabi fitrat se aagah thi .mujhe pata tha wo kisi bechain paarey ki tarah aik din mere haath se phisal jaaye ga is liye maiN us ke tajasus ko hawa nahi dena chahti thi.
Phir najaane kaise meri zaat ki kunjiyaan us ke haath aa lagiN .Mere raaz qafal der qafal khul rahe they. MeiN us per ayaaN hone lagi thi. us ka janooN sakooN mein badalne laga tha . tajasus ke baadal chhaTte he pyaar ki barish ruk gai thi . JahaN kabhi jazboN ka shor tha wahaN ab hamoshi ka raj tha
Wo mujhe kahiN rakh ker bhool gaya tha . Behabri is qader ke aankh ke saamne kuchh dikhayi na de kyonke us ki nigahaiN ab meri mutlashi nahi theiN . Kaan paRa kuchh sunai na de shayed us ki samaataiN ab is takallum ki khawahaN nahi theiN
MaiN us se aalam e deewangi meiN mili thi .Us ki sab wehshatoN ki raazdaar thi .MaiN dekhna chahti thi wo hosh meiN kaisa lagta ho ga. MaiN janti thi ke maiN wo aakhri zeena thi jo us ke tajasus ki hadd per khatam hota tha .Iss se aage mohabbat ka khula aasmaan tha .Baqi ka safar us ke liye aasaan tha kyonke us ne uRna seekhh liya tha...

 

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links