guzri shab jo tum ne kaha
baat go aam si thi
her ek tamanna karta hai
chahney ki chahey jaaney ki
izhaar e tamanna aisa ho
ke jism sei rooh tak khil jaaye
muhabbat ka hi taqaza hai
kehdo ke jo acha lagta hai
baton me jo jaltarang bajtey hain
sun kar wo bhi achey lagtey hain
andaaz tumahra qayamat hai
yeh bhi sach hai manta hoo
dil ki arzoo kia kia hain
yah bus mei hi janta hooo
per chup rahta hoo
hans deta hoo
izhaar muhabbat ki zaroorat hai
muhabbat izhaar ki mohtaaj nahi
zarooraton per zindagi guzartey nahi
zaroorto sei aagei bhi jeena hai
kuch batein waqt pe achi lagti hain
waqt sei pahlei hon tou uljhan hain
khuwashein jaag jaag thak jati hain
amal na hon tou lafz phir sarei
wuqat apne khodetey hain
pyar mujhey bhi utna hai
arzoon tum sei ziada hain
per me tum ko batlaoon
sab kuch samait kar rakha hai
tujh per kudh ko lutaaney ko
toot ke chahney aur chahey jaaney ko....
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)