 |
Banned
|
|
Posts: 23,626
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: USA
Gender:
|
|
YEH ASHIQI
Bhari dhoop main
yeh chhat per hai kon?
barabar ki chhat ko nishana kiye
takay ja raha hai...
jali dhoop nay uske pairon ko ab tak,jalaya nahe hai
ke sooraj ne usko sataya nahi hai
suna hai ke in ashiqon ko
zamanay ke mausam, satatay nahe hain, daratay nahi hain
sada saath rehtay hain.........
Inn se kabhi apna daman churatay nahi hain........
|