MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - روز قیامت شفاعت کا بیان
View Single Post
(#2)
Old
!~*SOoLi !~*SOoLi is offline
Girl Heart Black!!! .. =D
 


Posts: 12,518
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: Lahore..
Gender: Male
Default Re: روز قیامت شفاعت کا بیان - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   05-21-2011, 06:42 AM

Un Logo Kay Liye Jo Urdu Font Nahi Parh Saktay .. In Roman Urdu..

Hadith # 1
Hazrat Adam Bin Ali "RA" Say Rawayat Hay Kay Mein Nay Hazrat Abdullah Bin Umar "RA" Ko Farmatay Howay Suna, "Roz-e-Qayamat Sab Log Groh Dur Groh Hojayengay, Har Ummat Apnay Apnay Nabi Kay Peechay Hogi Aur Arz Karaygi, ; Ay Falan! Shafat Farmaye'n, Ay Falan! Shafat Kijiye, Yaha Tak Kay Shafat Ki Baat Hazoor Nabi Kareeb "SAWW" Par Akar Khatam Hogi, Pus as Roz Shafat Kay Liye Allah Ta'ala Ap "SAWW" Ko Muqam - e - Mehmood Par Fayez Farmayega.."


Hadith # 2
Hazrat Abdullah "RA" Say Rawayat Hay Kay Nabi Akram "SAWW" Nay Farmaya, " Qyamat Kay Roz Sooraj Logo'n Kay bohat Qareeb Ajayega Yaha'n Tak Kay (Us Ki Tapish Ki Waja Say Logo'n Kay) Nisf Kano'n Tak Paseena Pohanch Jayega, Log Is Halat Mein (Pehlay) Hazrat Adam "AS" Say Madad Mangnay Jayengay Phir Hazrat Musa "AS" Say, Phir Bil Akhir (Har Aik Kay Inkar Par) Hazrat Muhammad Mustufa "SAWW" Say Madad Mangaingay.."




Hadith # 3
Hazrat Ans "RA" Say Rawayat Hay Kay Hazoor Nabi Kareem "SAWW" Nay Farmaya, "Meri Shafat Meri Ummat Kay Un Afrad Kay Liye Hay Jinho'n Nay Gunah-e-Kabeera Kiye"