Muhabat khud batati hai
kahan kis ka Thikana hy
Kisy ankhon me rakhna hy
kisy dil me basana hy
Riha karna hy kisko Or
Kisy zanjeer karna hy
Mitana hy kisy dil se
Kisy tehreer karna hy
Gharonda kub girana hy
kahan tameer karna hy
Issay maloom hota hy safar dushwar kitna hy
Kisi ki chashm-e-hairan me chhupa iqrar kitna hy
Shajar jo girny wala hy wo sayadar kitna hy
Muhabat khud batati hy
Kisi ko mujh sy pyaar kitna hy,