![]() |
Tere hote hue mahafil By Ahmed Faraz
on May 1, 2011 in Ahmed Faraz, Poets and Poetry Leave a comment
tere hote hue mahafil me.n jalaate hai.n chiraaG log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG apanii maharuumiyo.n pe sharmindaa hai.n Khud nahii.n rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG bastiyaa.N chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale kurraa-e-arz bujhaate jaate hai.n chiraaG kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n jo zamaane kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG aisii taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n ‘Faraz’ raat to raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG |
Re: Tere hote hue mahafil By Ahmed Faraz
Nice....
|
Re: Tere hote hue mahafil By Ahmed Faraz
V Nicd.
|
Re: Tere hote hue mahafil By Ahmed Faraz
Buhat umda
|
All times are GMT +5. The time now is 03:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.