MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Say For Islam (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=18)
-   -   Biddat ki kabahatein (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=98813)

pakeeza 03-20-2013 09:51 PM

Biddat ki kabahatein
 
BIDDAT KI KABAHATEIN


Pahli kabahat :-



"Biddat " chori, daka, qatal, zina, sharab noshi ya rishwat khori ko nahi kahty.
Ye tou kabira Gunnah hain, jou bagair toba k muaaf nahi ho sakty.
Jab k biddat Naiki ki hamshakal hoti hay aur shariaat mai bayan karda Naiki ya is ki adaigi
k tariky mai kami ya ziyadti ka naam biddat hai.
Aur zahir hai k biddati loug isy sawab Hasil karny ki niyat sy hi Ikhtyar karty hain.
Kabira gunnahon ki nisbat biddat is lehaz sy badtarin chiz hay k Kabira gunnah ka martkab ye
samjhta hai k is ny Gunnah kiya hai aur ho sakta hai k kbi wo toba kar lay aut Allah Tallah isy
muaaf bhi kardy.
Laken biddati ko toba is liye nasib nahi hoti k wo isy aain Naiki aur Sawab samj kar karta hai
Phr bhala toba ku kar karega??? Yahi waja hay k shaitan kisi Insaan k kabira Gunnah mai
mulawas hony par itna khush nahi hota jitna kisi k shirk ya biddat k Irtkab par khush hota
hay.
Sayadna Anus Bin Malik Razy Allahu Anhhum rawayat karty hain ky RASULILLAH SALLY
ALLAHO WA ALAHI WASALLAM ny irshad farmaya :
" Allah Tallah biddati ki toba is waqt tak kabul nahi karta jab tak wo biddat ko chod na dy"
( Tibrani Ost 113/5 , Mujmaa Al Zawaiid 192/10 )
Imam Sufyan sori Rahmat Ullah Alaihi farmaty hain :
" Biddat , iblis ko gunnah sy ziyada pasnd hay ku k gunnah sy toba kar li jati hai aur Biddat sy toba nahi ki jati "
( Shrah Al sunnah : 216/1 )


Dusri Kabahat :



Agar biddat ko naiki aur sawab ka kam smjha jay tou is ka matlab ye hoga k in naikyo sy
RASULILLAH SALLY ALLAHO WA ALAHI WASALLAM aur Sahiba Karam
Razy Allahu Anahhum tou mahrum rah gay aur bad mai aany waly naikyo mai in par
sabqat lay gay jab k ye mumkin hi nahi.


Tisri Kabahat :



Naiki aur badi ka taain karna tou Allah Tallah ka kam hai, Agar koi shaks ya Jamaat
az khud naikyo ki taain karny lag jay tou is ka matlab ye hoga k inhon ny shariyat sazi ka
mansab apne zimmy lay liya hai. Aisa karna Shirk hai.


Chothi Kabahat :



Allah Tallah ki taraf sy taain karda naikyo ka Taaruf karana aur in par amal karny ka tarika
batlana Paigambar ka kaam hai. Agar loug Paigambar k baad az khud naikyon ka taain
kar k apny apny tariky sy in par amal karny lag jain tou is ka matlab ye hoga k ye kaam
tou naiki k thy magr Nabi Karim SALLY ALLAHO WA ALAHI WASALLAM ko
ya tou batana yad na rahy ya Aap SALLY ALLAHO WA ALAHI WASALLAM
ny Jaan bujh k ummat ko batlaya nahi. ( NAUZ BILLAH ) har do surton mai
RASULILLAH SALLY ALLAHO WA ALAHI WASALLAM ki Zaat aqdas
par aitraz aaiga.
Imam Malik Bin Anus Rahmat Ullah Alaihi farmaty hain :
JIs shakas ny Islam mai koi biddat nikali aur isy acha smjha tou goya is ny
ye smjh rakha hay k M. SALLY ALLAHO WA ALAHI WASALLAM
ny Risalat mai khayanat ki hay. Is liye k Allah Tallah Irshad farmaty hain k
" Aaj mai ny tumhary liye tumhara din mukammal kar dya hai. ( Lehaza )
jou chiz is din deen na thi wo aaj bhi deen nhi hay.
( Al Aatsam Al Shatbi 94/1 )

Miss Habib 03-21-2013 01:01 AM

Re: Biddat ki kabahatein
 
jazakAllah

Dream Hunter 03-21-2013 10:11 AM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Pakeeza it is such a usefull post i think every one take a part to share such kinda post so ppl will be aware of bidaat
ALLAH hamein shirk aur bidaat se mehfooz rakhay Ameen

Dream Hunter 03-21-2013 10:12 AM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Pakeeza it is such a usefull post i think every one take a part to share such kinda post so ppl will be aware of bidaat
ALLAH hamein shirk aur bidaat se mehfooz rakhay Ameen

(‘“*JiĢäR*”’) 03-21-2013 02:47 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Good Shairng

Morash 03-21-2013 06:40 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Bohat He Precious Wording Hai ..
Allah Ham Sab Ko Biddat Aur Har Gunah Se Bachaye ..
Aur Hamein Maaf Farmaye, Ameen Suma Ameen ..

pakeeza 03-21-2013 08:47 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Quote:

Originally Posted by Morash (Post 1783045)
Bohat He Precious Wording Hai ..
Allah Ham Sab Ko Biddat Aur Har Gunah Se Bachaye ..
Aur Hamein Maaf Farmaye, Ameen Suma Ameen ..

Ameen Suma Ameen


thnksss :)

pakeeza 03-21-2013 08:47 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Quote:

Originally Posted by JiGaR (Post 1782935)
Good Shairng

thnksss :) j

pakeeza 03-21-2013 08:47 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Quote:

Originally Posted by Miss Habib (Post 1782801)
jazakAllah

thnksss sisooooo

pakeeza 03-21-2013 08:48 PM

Re: Biddat ki kabahatein
 
Quote:

Originally Posted by Dream Hunter (Post 1782851)
Pakeeza it is such a usefull post i think every one take a part to share such kinda post so ppl will be aware of bidaat
ALLAH hamein shirk aur bidaat se mehfooz rakhay Ameen

Ameenn


thnkssssssss :)


All times are GMT +5. The time now is 04:30 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.