![]() |
!3@$ Re@d K@rT@y J@0 lolzzzzzzz
Wo humari Bebasi ka Mazak bnate gye..
Ek Hum hi the jo phir b Muskrate gye.. Sar-e-Bazaar bik raha tha PYAR hmara.. Or ek wo the jo humari Kimat girate gae.. |
Ye Dil dosti k kabil na raha
Koi b ishar ke kabil na raha Is Dil main bas gia ha piayar apka Ab to chand b Deedar k kabil nahi raha Dosti ki ha , nibhani to padegi Ap ko taklif batani to padegi Ap ki taklif na jan sake to Dosti kis kam ki Ap ke lia mar na sake to Zindagi kis kam ki . |
Ye drd mit gya to phr!
Ye zakhm sil gya to phr! Bichr k sochta hon main Wo phr sy mil gya to phir! Mai titliyon k Shehr may rahon to mujh ko fiqr hy Wo phool jo khila nahi,wo phool khil gya to phr! Tumhen b kuch nahi mila,Mujh b kuch nahi mila! Tmam umr k liye ye drd mil gya to phr!essi main aj tak Sawal b na kr ska Agr mere sawal ka jwab mil gya to phr! Ye theek hy k laut kr mery he dil may ao gy, Mgr ye soch lo zra Badal ye dil gya to phir!.,. |
Yehi Wafa ka silaah ha to koi baat nahi , ,
Yeh dard tum ne diya ha to koi baat nahi , , Yehi bohot ha k tum dekhte ho sahil se , , Safeena doob raha ha to koi baat nahi , , Rakha tha aashiyana-e-dil ma choopa k tumko , , Woh ghar tumne chor diya ha to koi baat nahi , , Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha , , Tum hi ne tor diya ha to koi baat nahi , , Kise majaal kahe koi mujh ko deewana , , Agar yeh tumne kaha ha to koi baat nahi . . |
Zindagi Ki Rahon Ma ise Mod B Aate Han
Sawan K Sath-Sath Ya Patjad B Ate Han Asuwon K Sagar Ma Moti B Milta Han Jo Una Dond lete han Woe Zindagi Je Lete Han |
Zindgi Ka Raaz Maine Tanhai Men Pa Liya,
Jis Ka Bhi Ghum Mila Apna Bana Diya, Sunane Ko Mila Na Koi Dastan-E-Ghum, Aaina Rakha Saamne Aur Khud Ko Suna Diya. |
Dekha tum nay,
Ubb ki bar ka serd mosum kis qader serd tha SAb jazbey berf ho gaye Waqt sakit ho gaya Lafz dilon mey garey reh gaye Khamoshi fiza mey thehri reh gayi Sub serd ho gaya Mager suno, Aaj bhi kal ki tarahn Tumharey Nam Ki Mithas Merey Honton Pey Jami Hay...!!! |
Mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye
Tod ke yoon dil humara, na jaaiye ! Bahaar ke rang ghule hain fizaaon main Bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye ! Zamane ki gardishen ruk to nahin jayengi Dunya ki khatir humko chorh ke na jaaiye ! Jaane se aapke rooth ke baithe hain hum Ab humko manane ki khatir hi na jaaiye ! Aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun Aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye ! |
Ye noor hai tere chehre ka, ya khud hi mahtaab hai,
Tu haseeno se haseen hai, tera husn lajawaab hai.. Nigaahen hui teri ya hain ye paimane bhare jaam se, Jaan-e-man teri aankhon mein nasha toh behisaab hai.. Teri muskaan ke sajde hain har ek sheh iss jahan ke, Tere larazte labon ko chumna toh jaise ek khwab hai.. Teri sanson ki garmi se pighalta jata hai ye dil mera, Meri har andheri raat ka bas ek tu hi aaftaab hai.. Tu hi armaan iss dil, tu hi ab anjaam-e-jeewan hai, Tere hi naam se gulshan mera ye chehra-o-aab-aab hai.... |
Bheegi Howee Ek Sham Ki Dahlez Per Bethay Howay
Hum Dil k Sulagnay K Sabab Soch rahay hai |
All times are GMT +5. The time now is 12:05 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.