![]() |
Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Misaal e rung woh jhoonka, nazar bhi aata hai tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya Hawa ke raah mein ik aisa ghar bhi aata hai woh mujh ko toot kay chahay ga, choor jaye ga Mujhay khabar thee ussay yeah hunar bhi aata hai Ujaar ban mein utarta hai aik jugnoo bhi hawa kay sath koi humsafar bhi aata hai Wafa ke koun see manzil pay uss nay choora tha Keh woh tu yaad humain bhool kar bhi aata hai Jahaan Lahoo kay samandar ke hud theharti hai Waheen Jazeera e laal o guhar bhi aata hai Challay jo zikar farishtoon ke parsaye ka Tu zair e behas muqaam e bashar bhi aata hai Abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mairay Keh in safoon mein kaheen maira sar bhi aata hai Kabhi kabhi mujhay milnay bulandiyoon say koye Shoa e subah ke sourat utaar bhi aatar bhi aata hai Issi liyeah mein kissi shaab na soo saka mohsin Woh mahtaab kabhi baam par bhi aata hai.. |
Re: Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Nice. . .
|
Re: Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
nice sharing
|
Re: Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
thanks
|
Re: Tairay badan say choo kar jo idhar bhee aata hai
Very Nice
|
All times are GMT +5. The time now is 08:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.