![]() |
Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq... Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho! Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay |
Re: Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Thanx for sharinG. .
|
Re: Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
nice sharing
|
Re: Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 12:12 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.