![]() |
murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
suuraj huu.N meraa ra.ng magar din Dhale bhii dekh kaaGaz kii katarane ko bhii kahate hai.n log phuul rangon kaa aitabaar hii kyaa suuNgh ke bhii dekh har chund raakh hoke bikharnaa hai raah mein jalte huye paron se urraa huu.N mujhe bhii dekh tuune kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.N aa.Nkho.n ko ab na Dhaa.Np mujhe Duubate bhii dekh tuu hii barahanaa-paa nahii.n is jalatii ret par talavo.n me.n jo havaa ke hai.n vo aabale bhii dekh insaan naachtaa hai yahaa.N putaliyo.n ke ra.ng duniyaa me.n aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh bichhatii thii.n jis kii raah me.n phuulo.n kii chaadare.n ab us kii Khaak ghaas ke pairo.n tale bhii dekh kyaa shaaKh-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko nazare.n uThaa "Shakeb" kabhii saamane bhi dekh a |
Re: murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
Very nice. . .
|
Re: murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
thanks
|
Re: murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
V Nicee
|
Re: murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
:bu:
. |
Re: murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
:bu:...
|
All times are GMT +5. The time now is 09:33 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.