![]() |
Khud ko wo samjha bhi pai ho
Bina Ik Lafz Boly…bazahir aam lehjay main kaha tha main ne jab us se "badal lo raasta apna juda rahain yaheen karlo hamaray chahnay na chahnay se kuch nahi hota ye hi sach hai ke hum do mukhtalif raston ke raahi hai to phir kion dil ki manain hum shuru main manti hoon main azziyat dil ko pohanchay gi magar phir waqt guzray ga sabhi zakhmon ko bhar de ga" meray is aam se lehjay pe wo ik pal ko chonka tha meri aankhon main aankhain daal kar hairat se poocha tha "ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?" bohat hi jee karda kar ke main us dam muskuraii thi bohat khud pe jabar kar ke main us se keh ye payi thi "meri tum fikr rehnay do sambhal jaoon gi main khud hi sabhi zakhmon ko sii loon gi bhula kar sari batoon ko akaili bhi main jee loon gi" buhat hi be yaqeen aakhoon se us ne mujh ko dekha aur Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya aur ab tark_e_taalluq ko agarche umar beeti hai magar is dil pe us ki zaat ka jo naqsh qaaim tha kabhi dhundla nahi hota mujhay mehsoos hota hai ke jaisay meray kanoon main wo apni bolti aankhoon se sargoshi si karta hai "WO SAB JO KEH RAHI THEEN KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?" |
Nice Sharing Munda Jee,.
|
Quote:
|
vvvvv nice
|
Thanks Urooj jee |
very nice
|
Quote:
|
Very nice..
|
Subhan Allah
|
Thanks Ruby & ghuncha |
All times are GMT +5. The time now is 02:31 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.