![]() |
Wafa mein Ab yeh hunar.....................
Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai.. Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai.. Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ? Mujhay tu khair tera intazar karna hai Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh Kabhi yeah jashan sar e rah’guzaar karna hai woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon Qaba samajh kay badan taar taar karna hai Khda janey ye koi zid, k shouq hai__________ Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai *** MOHSIN NAQVI *** |
Re: Wafa mein Ab yeh hunar.....................
My Fav P0etry
T 4 S.. |
Re: Wafa mein Ab yeh hunar.....................
V Nice..
|
Re: Wafa mein Ab yeh hunar.....................
Thankshooooo.com/Saba+Shayan
|
Re: Wafa mein Ab yeh hunar.....................
:bu:__
|
Re: Wafa mein Ab yeh hunar.....................
thankshooo.com/JIgar
|
All times are GMT +5. The time now is 05:57 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.