![]() |
kitaben jhankti hen band almaari se
kitabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
bari hasrat se takti hain maheeno ab mulakatein nahi hoti jo shaamein inki suhbat main kata karti thein, ab aksar guzar jaati hain computer ke pardon par badi bechain rahti hain kitabein inhe ab neend mein chalne ki aadat ho gayi hai koi safha palatta hoon to ik siski nikalti hai kayi lafzon ke maani gir bhi parte hain jo rishte woh sunaatee thein woh saare udhre udhre hain aur woh jo kitaabon mein, mila karte the sookhe phool kitne maangne, giraane, uthaane ke bahaane rishte bante the na jaane unka kya hoga? woh shaayad ab nahi honge! |
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
Zaberdast
|
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
buhat aala
|
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
kya baat hai janab nice
|
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
gudddd
|
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
glad to see your comments...thanks for reading
|
Re: kitaben jhankti hen band almaari se
Wah kya baat hai (Y)
|
All times are GMT +5. The time now is 10:12 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.