![]() |
Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Shab ki tanhai mein aksar khayal ata hai Apney dukh kisko sunatey ho kahan jatey ho ? Mausm-e-gul mein nasha hijr ka barh jata hai Merey sab hosh churatey ho kahan jatey ho ? Sard raton mein tumhein kaisey bhula sakta hon Aag si dil mein lagatey ho kahan jatey ho ? Tum to khushiyon ki rafakat key liye bichrey they Ab agar ashk bahatey ho to kahan jatey ho ? Sheher key log bhi yehi khayal rakhtey hain Ab boht kam nazar atey ho kahan jatey ho ? |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Shab ki tanhai mein aksar khayal ata hai
Apney dukh kisko sunatey ho kahan jatey ho ? best line and nice share/// |

Thanks G.T
|
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Bohat khoob Mahi (Y) Mager mujhay lagta hai k ye ghazal poori nahi or shaayad durust bhi nahi :( Ager main ghalat na hoon to ye ghazal Saeed Waasiq ki hai or ye ghazal sahi is terhan say hai ..... Hijr mein khoon rulaatay ho, kahaan hotay ho ? Lout ker kiun nahi aatay ho, kahaan hotay ho ? jab bhi milta hai koi shakhs bahaaron jaisa Mujh ko tum kaisay bhulaatay ho, kahaan hotay ho ? Yaad aati hein akaylay mein tumhaari neendein Kis terhan khud ko sulaatay ho, kahaan hotay ho ? Mujh say bichray ho to mehboob-e-nazar ho kis k Aaj kal kis ko manaatay ho, kahaan hotay ho ? Shab ki tunhaai mein akser ye khayaal aata hai Apnay dukh kis ko sunaatay ho, kahaan hotay ho ? Mosam-e-gull mein nasha hijr ka berh jaata hai Meray sab hosh churaatay ho, kahaan hotay ho ? Serd raaton mein tumhein kaisay bhula sakta hoon Aag si dil mein lagaatay ho, kahaan hotay ho ? Tum to khushiyon ki rafaaqat k liye bichray thay Ab ager ashk bahaatay ho, kahaan hotay ho ? Sheher k log bhi WaasiQ yehi kertay hein sawaal Ab bohat kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho ? |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Quote:
:sorry: Anyway Thank You for Completing the Poetry Wonderfully : ) |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Don't be Sorry Mahi :no-no: And You Welcome Anytime |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Haha. . .
V.nice. . |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
Zabardast sharing by both of you |
Re: Apne dukh Kisko sunatey ho? Kahan jatey ho?
hmmm...very nyc
|
All times are GMT +5. The time now is 02:01 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.