umair8005 |
03-01-2009 06:44 PM |
** teri dunya se bahut door **
Mein ne har kaanta teri raah ka palkon se chuna,
log khte hain mein dushman hon tera tu ne suna.
Jaane kya soch kar har zulm rawa rkha hai,
kya mein pathar hon jo qadmon mein sajaa rkha hai,
mein ne rakha hai faqat apni mohabat ka bharam,
warna harjai tere pyar mein kya rkha ha.
Bewafai ka gila lab pa nhe laaon ga,
tu muqadar mein nhe dil ko ye samjhaon ga,
hal-e-dil sunne ki shayad tujhe fursat nhe,
teri dunya se bahut door chala jaaon ga...
|