![]() |
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
lazim tha k dekho mera rasta koi din aur tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur aye ho kal aur aj hi kahte ho k jaun mana k hamesha nahi acha koi din aur jate hue kahte ho qayamat ko milenge kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur han ae falak-e-pir, jawan tha abhi arif kya tera bigarta jo na marta koi din aur tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar k phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur tum kaun se aise the khare dad-o-sitad k karta malikulmaut taqaza koi din aur mujhse tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush karna tha jawanmarg! guzara koi din aur nadan ho jo kahte ho k kyon jite ho qismat main hai marne ki tamanna koi din aur ***** MIRZA GHALIB ***** |
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
Very Nice....
|
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
goodddd..........
|
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
thankshooooo.com / jigar
|
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
Thankshoooo.com ./ Adeela
|
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
NiC3..
|
Re: tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur ....................
thankshoooo.com / masoom girl
|
All times are GMT +5. The time now is 07:41 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.