![]() |
Kuch bhi to nahe waisa.......
Kuch bhi to nahe waisa jaisa tujhe soch tha jitna tujhe chaha tha kuch herf duaon ke, kuch phool wafaon ke mehkain gay meri khatir kuch bhi to nahe wiasa jaisa tujhe socha tha mehsoos yeh hota hay dukh jhaile thay jo ab tak benaam musafet mein likhne ki muhabbat mein, parhne ki zaroorat mein besood riyazat thi, befaiz ibadat thi Jo khawab bhi daikhe thay In jagti aankhon ne Sab khaam khiyali thi Phir bhi tujhe paane ki dil ke kisi goshe mein Khawhish tou bacha li thi Laikin tujhe paa ker bhi aur khud ko gunwa ker bhi Is habs ke mousam ki khirki se hawa aaiy Na phool se khusboo ki koi bhi sadaa aaiy Ab neend he aankhon mein Na dil mein woh pehli si sukhn aaraiy Na lafz mere nikle na herf o ma'ani ki Danish hi mere kaam aaiy Nadeeda rafaqat mein jitni bhi azziat thi Sab mere hi naam aaiy Kuch bhi to nahe waisa Jaisa tujhe socha tha Jitna tujhe chaha tha Kuch bhi to nahe waisa....... |
Kya Baat Hai Munda,.
Aaj Aik Se Bhad Kar Aik Sharing Ho Rahi Hain,. |
awwww
hota hey esa bhe kabhi very nyc |
v nice
|
very nice..
|
very nice Poetry
|
NYcc |
boht khoub brthr |
Quote:
palkein jeee pasand kerney ka shukriya |
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 10:12 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.