![]()  | 
	
		
 Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun ................. 
		
		
		Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun  Jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun Na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun Jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun Mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya Jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun Main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya Main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun ******** BAHADUR SHAH ZAFR **********  | 
		
 Re: Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun ................. 
		
		
		Zaberdast : ) 
	 | 
		
 Re: Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun ................. 
		
		
		thankshoooo.com / Shayan 
	 | 
		
 Re: Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun ................. 
		
		
		buhat khoob 
	 | 
		
 Re: Parhe fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun ................. 
		
		
		Quote: 
	
  | 
| All times are GMT +5. The time now is 10:42 AM. | 
	Powered by vBulletin® 
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.