![]() |
zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi ............................
Rasta bhi kathan, dhoop mein shiddat bhi bohat thi saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi khaimay na koii mere musaafir ke jalaaye zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab the din mein to safar karne mein diqqat bhi bohat thi barish ki duaon mein nami ankh ki mil jaaye jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi kuch to tere mausam hi mujhe raas kam aaye aur kuch meri mitti mein baghaawat bhi bohat thi phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin kuch is mein hawao ki siyasat bhi bohat thi is tark-e-rafaaqat pe pareshan to hoon lekin ab tak ke tere saath pe herat bhi bohat thi khush aye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri hum logon ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi |
Re: zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi ............................
Wow...
|
Re: zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi ............................
Thankshoooo.com / Shayan
|
Re: zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi ............................
gr8 one
|
Re: zakhmi tha bohat paoon, musaafat bhi bohat thi ............................
Thankshooooo.com / MF great Power
|
All times are GMT +5. The time now is 06:56 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.