![]() |
junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim
gali kucho'n mai barg e khushk ki surat bikharna tha
hawa say dostii ka koi tau anjaam hona tha junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim idhar ik shayra thi uss taraf sara zamana tha ye sari umr kiss aashufttagi mai raiga'n kar dii usee ko yaad rakkha hai jisay dil say bhulana tha ajab wehshat ka aalam hai samajh mai kutch nahi aata safar ki shab musafir ko kaha'n kheema lagana tha diye jo baam par rakkhay tha mainay bujh gaye saray isii taareek shab mai usko meray gha'nw aana tha wo jab ojhal huwa to ham bhi apnay aap say chonkay usay aawaz deni thi usay wapas bulana tha |
Re: junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim
V Nice ::
|
Re: junoo'n k sheher mai lekin hamari haar thi laazim
thankssssssssssssss
|
All times are GMT +5. The time now is 06:02 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.