![]() |
Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
Gulaab Aankhen Sharab Aankhen Yehi To Hain La-jawab Aankhen Inhi Mein Ulfat Inhi Mein Nafrat Sawab Aankhen, Azaab Aankhen Kbhi Nazar Mein Bala Ki Shokhi Kbhi Srapa Hijab Aankhen Kbhi Chhupati Hain Raaz Dil K Kbhi Hain Dil Ki Kitab Aankhen Kisi Nay Dekhi To Jheel Jesi Kisi Nay Payeen Sraab Aankhen Wo Aaye To Log Mujh Sy Bolay Hzoor Aankhen, Janab Aankhen Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam Sawal Koi, Jawab Aankhen Ye Mast Mast Be-Misal Aankhen Nshay Sy Hr Dm Nidhal Aankhen Uthen To Hosh-o-Hwaas Chheenen Giren To Kr Den Kamal Aankhen Koi Hai In K Karam Ka Talib Kisi Ka Shok-e-Wisal Aankhen Na Yun Jla’ayn Na Yun Sta’ayn Kren To Kuch Ye Khayal Aankhen Hain Jeenay Ka ik Bahana Yaro Ye Rooh Parwr Jamal Aankhen Draaz Palken Wisaal Aankhen Musawri Ka Kamal Aankhn Sharab Rab Nay Haram Kr Di Mgr Q Rkhi Ye Halal Aankhn Hzaron In Sy Qatal huway hain Khuda K Bnday Smbhal Aankhen..!! |
Re: Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
wOw NiCe 1...
|
Re: Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
V Nice ::
|
Re: Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
:khob:
|
| All times are GMT +5. The time now is 03:14 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.