![]() |
Bata ke jao
BATA KE JAO Chalay jo ho to bata k jao Ke kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein Ke kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai Ke kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke Ke kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha Tou kaya kahoon ga? Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain Fallk ko, taron ko, jugnuon ko SalaaM dene hein ya nahee hain Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho Arooj kiya ho, zawaal kiya ho Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to main kya karoon ga Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou Main kiya karoon ga ? Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai ? nikhaarna hai ? Chalay jo ho tou bata kay jao kay loutna bhi hai ya...? |
Re: Bata ke jao
:bu: ....
|
Re: Bata ke jao
V Nice
|
All times are GMT +5. The time now is 06:30 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.