![]() |
Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi
Kuch rog chupaane se kar baithe jigar zakhmi Akhbaar ki har surkhi youn surkh lage har din SatroN ke badan chalni alfaaz ke sar zakhmi Tasweer-e-tasawwur par kyoun dhool ki chaadar hai Ye soch ke kar baithe sochoN ka safar zakhmi Chaahat ki musaafat mein kaisa hai ye do raaha Tum ho ke udhar zakhmi hum haiN ke idhar zakhmi YaaroN ki judaai se behtar hai ke mar jaaye Achha hai na ho paaye phir shaam-o-sahar zakhmi Shaitaan ke hone se shaitaan maza looteiN Insaan ke haathoN se insaan magar zakhmi Hum un ki jafaaoN par ehsaan to kar jaate Doraan-e-wafa daari hote na agar zakhmi Kya khoob nizaamat hai arbaab-e-hukoomat ki Mazdoor kisaaN naalaaN, taaleem-o-hunar zakhmi GaaoN bhi udaas haiN shehar bhi faryaadi Har raah guzar giryaaN har ek nagar zakhmi...!!! |
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
G00d 1 ...
|
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
Thank You...
|
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
wah wah wah kya irsad farmayaa
|
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
thnx thnx thnx...
|
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi
Kuch rog chupaane se kar baithe jigar zakhmi nice poetry |
Re: Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi..
Thnx..
|
All times are GMT +5. The time now is 02:29 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.