![]() |
Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Aslam o Alaikum Me akser bohat kuch ajeeb sa sochne lagta hon, Ager kisi hero ko dekhta hon me a kheyalon hi men hero bun ke kahani banani shoro ker deta hon, Kisi Aalim ko dekhta hon to usi ki terha ho ke logon men Islam ki baten kene ka sochta hon, Kisi player ko dekhta hon to usi ki terha khel ke meedan men match kheilte hoy apne aap ko feel kerta hon, Kabhi kabhi to kheylon men telepathy bhi shoro ker deta hon, Bus jo bhi dekhta hon waisa hi bun ke kheyalon men sochne lagta hon, Kiya u men se bhi kisi ko yeh beemari hey ya me akaila hi mareez hon is beemari ka? |
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Amm...Main asa nahin kertta, bhai ji...Kyun kaay main akser dosroon ko nahin balkay khud apnay app ko dektha hoon...aur main khud main apnay liyay eik bhut barii example hoon
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Its mean yeh beemari just me ko hi hey
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Quote:
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Oh phit theek hey, ub dekhte hen is forum pe me jaise kitte log hen,
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Hmmm! well iska siraf yeh matlab hay K aap Jin logo'n se inspire hotay hain Aam zindagi main, U just want to be like them aur yeh koyi gair mamooli baat nahi hay. Aisa bohat se logo'n k sath hota hay aur aisa karne main koyi bohat galat baat bhi nahi hay. Agar aapko kisi doosre ki koyi quality ya baat achi lagti hay to usko apna nay main koyi Muzaika nahi. :) Han isko bohat ziyada khud par hawi nahi karna chhaiye ya is wajah se kisi complex ka shikaar nahi hona chahiye. Hum sabko Khuda Tala'h ne paida kiya hay aur mukhtalif salahito'n se nawaza hay. Aur bohat Mumkin hay K Jo cheezain hamain doosro'n main achi lag rahi hain, Doosro'n ko aapki kuch qualities bhi achii lag rahi hon tou yeh cheez dono taraf ho sakti hay.
In short, doosro'n ki achi adaat ya baato'n ko apna nay main koyi Muzaika nahi han magar unki personality ki mukammal copy nahi karni chhaiye ya unki personalities ka itna influence nahi lena chahiye K aap khud apni personality ko bura samajhnay lagain. Tou yahan bhi Miyana rawi ya Moderation ka raasta apna na chhaiye. Hadood k andar aur moderation ki policy apnatay hooay aisa karnay main koyi burayi nahi aur aisa siraf aap kay sath hi nahi balkay meray saath aur I'm sure bohat se aur logo'n k sath bhi hota ho ga. :) |
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Shuker hey koi to me ka saathi nikla, Me smjh giya ustaani ji, eik dum smjh giya, Bus u aise hi me ko samjhati rehna, acha lagta hey,
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
hahahaha Nahi sir main khud aik Talib-e-Ilm hoon abhi, Ustaad tou bohat door ki baat hay.
Lekin glad u understood my point :) and I don't have any problem doing that unless u r able to tolarate the lectures lolz as to most of people this can seem as lecture also! |
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Quote:
|
Re: Kia U Bhi Aisa Sochte Ho
Oho u ustaad nhi ho ustaani ho, Ur me ko seekhna hi acha lagta hey, Isi liye me kum bolta hon, Waise u ne kabhi socha keh u ko telepathy aati to u kia kerti?
|
All times are GMT +5. The time now is 02:27 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.