![]() |
Maa Kehti Thi
Maa kehti thi
Meri nanhi si gurriya! Aaj baahir na nikal Kia tujh ko maloom nahi...? Aaj suraj-garhan hai Riwayat kehti hai Suraj-garhan ho to Dekhne se aankhen beenai khho deti hain Chehre murja jaate hain Un pe zardi chha jaati hai Mahekte tan-o-man kamla jaate hain Phool orrh lete hain zard ruton k pairhan Bahaaren khizaan main dhhal jaati hain Yahan tak k samander k bhanwar Aur zameen k maddo-jazar bhi badal jaate hain...! Meri gurriya! Tu baahir na nikal K teri ghazaali aankhen aur ro-pehle chehre ko Kahin chaat na le ye suraj-garhan...! Magar aaj maa ko bataaye kon Us ki gurriya ko Jise zard na ker saka suraj-garhan Usay das gaya mohabbat ka chaand-garhan...!!! |
Re: Maa Kehti Thi
........ :bu:
|
Re: Maa Kehti Thi
thanks K.S
|
Re: Maa Kehti Thi
Wowooo very sad , anyway nice sharing
Miss kabhi Thori Romantic poetry be post ker diya krein to Nawazish ho ge app ki :) |
Re: Maa Kehti Thi
:zabardast:
|
Re: Maa Kehti Thi
thanks jigar
|
Re: Maa Kehti Thi
Quote:
kia karoon meri choice hi aisi hai chalo kabhi karoon gi to tumhein zaroor link send karoon gi |
Re: Maa Kehti Thi
Hmmm Thank you in advanc :)
|
Re: Maa Kehti Thi
wow Allaaaa
|
Re: Maa Kehti Thi
bhat alaa :)
|
All times are GMT +5. The time now is 01:23 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.