![]() |
Raha GardashoN men her dam
Aslam o Alaikum Kion aisa hota hey keh insaan kisi ki wish kare, Ur wo us ko paane ke qareeb ho ur phir achanik hi hathon ki dastaras se door ho jay. Aisa eik baari nhi life men baar baar hota hey, Kion hota hey aisa, Raha gerdashon men her dam mere ishaq ka satara Kabhi dagmagai kashti kabhi kho giya kinaara |
Re: Raha GardashoN men her dam
Ye Koi B Nahi Samj Paya
. . Bohat si wajohat ho sakti hain . . halat pe depend krta hai . . This is Life |
Re: Raha GardashoN men her dam
Haan yeh sahi hey keh This is life
|
Re: Raha GardashoN men her dam
Mere Sath Bhi Aisa Howa Tha Aik Baar, .. Aik Kati Patang Jis Ki Dor Meri Dastaras Main Thi, .. magar Mere Hath Say Nikal Gai Thi :laugh: .. Ab Pachtaye Kya Jab Chiryan Chug Gai Patangain :current: |
Re: Raha GardashoN men her dam
To wo kati patang kisi ur ne paker li thi kia? waise me ke sath dream men aisa hota hey keh patang ke peeche bhagta hon per wo hath nhi aati
|
Re: Raha GardashoN men her dam
Hmmm Jee han Iski kaafi woojuhaat ho sakti hain jaise K Jigar ne kaha hay K this is exactally what life is :) So unprectable and so uncertain. Jis lamhay Yakeen ho K we r near the destination usi lamhay Halaat Kuch aisi karwat lete hain K Things totally turn in a completly opposite direction.
Among many other possibilities one can be Destiny: Now on that, there can be lot that can be said. But the truth of the matter is that we can not get above whatever is written in destiny and shayed Allah knows better abt us and our capabilities and what we shall be able to do with certain things and thus write things according to that. There can be many other things, be it a kite or any other big thing in life, I guess same rules can be applied as Sooli also tried to explain in his "Pur-Mazah" andaaz :) |
Re: Raha GardashoN men her dam
U ne bhi eik dum sahi kaha keh sub kuch Allah ke hath men hey, Hum just calculation kerte reh jaate hen, keh ub yeh ho ga wo ho ga, Per waise hota nhi jaisa hum sochte hen,
Per me smjhta hon keh me ke sath kuch zeyada hi aisa hota hey, Me hon bohat lucky Allah ne boaht mehrbani ki hoi hey, per yeh jo dil hey na yeh kheilen ko chaand maangta hey, ur wo saamne hi to hota hey, dikhta hey, per hath nhi aata, Anyway Thanks for so beautiful reply, |
Re: Raha GardashoN men her dam
a wise men said
manay apnay faislon kay tutnay say Allah ko pahchana hai ... there are 2 people in this world 1, those jo tuned hotay hain bachpan say due to mahol ya family values har bat par kahtay hain ( Jo hota hai Allah ki taraf say hota hai ) 2 , jo apne life ko control karnay ki intihaie koshish kartay hain aur jab things turns out jo plan na kia ho even after carefully analysing every aspect of the equation and then they realise there is nothing in ones hand can try but thats the only thing one can do TRY . Imagen!! a person fights with his family for his love and leave them and a week before he was suppose to get married to a person , in a car accident she dies what would u call that ... |
Re: Raha GardashoN men her dam
Me ne kaheen perha tha keh Hazrat Ali ne yeh kaha tha keh main ne apne iradon ke tootne se Allah ko pehchana,
Haan yeh theek hey bohat se lopg yehi bolote hen keh jo hota hey Allah ki tarf se hota hey, Jubkeh Allah kehta hey tum pe jo museebat aati hey wo tumhare aamaal ki wajah se aati hey, Haan urI agree hamara kaam koshish kerna hey, result hamare hath men nhi hey, Chalo phr me k liye dua kro, keh Allah me ke dil ko skoon de, |
Re: Raha GardashoN men her dam
Hmmm I do agree with whatever Shaolin has said. Aik quote hay K Allah insaan se Farmmat hay K "Aye Ibn-e-Adam, aik meri chahat hay aur aik teri chahat hay, Pas agar Tune Sapurd kardiya khudko Usakay Jo meri Chahat hay To Doonga Tujhko woh bhi Jo Teri Chahat hay LEKIN Agar Nafarmani Ki Uski Jo Meri Chahat hay to Thaka doon ga tujhko usmain Jo Teri Chahat hay aur phir Hoga wohi jo Meri Chahat hay".
To is quote main bhi yehi kaha gaya hay K Koshish zaroor karain magar Nateejay ko Khuda Ki zaat par chor dain. Woh Hamain 70 Maao'n se ziyada Piyaar karta hay to hamaray liay kuch galat Kabhi nahi soch sakta. Han hum loag use shuru main samajh nahi paatay. Tou meray Khayal main Sakoon panay ka yehi hal hay k uski Raza ko Kabool kiya jaye. InshAllah Aapko zaroor sakoon haasil hoga :) |
All times are GMT +5. The time now is 03:39 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.